MIRZA GHALIB

zaalim  thaa  vo

zaalim  thaa  vo aur zulm kii a adat bhii bahut thii
majabuur the ham us se muhabbat bhii bahut thii

us but  ke  sitam  sah ke dikhaa hii diyaa ham ne
go ap anii tabiyat main baGaavat  bhii  bahut thii

vaaqif hii na thaa ramz-e-muhabbat se vo varnaa
dil ke liye tho.Dii sii inaayat bhii bahut thii

yuu.N hii nahii.n mashhuur-e-zamaanaa meraa qaatil
us shaks ko is fan me.n mahaarat bhii bahut thii

kyaa daur-e-Gazal thaa ke lahuu dil me.n bahut thaa
aur dil ko lahuu karane kii fursat bhii bahut thii

har shaam sunaate the hasiino.n ko Gazal ham
jab maal bahut thaa to saKhaavat bhii bahut thii

bulavaa ke ham 'Ajiz' ko pashemaa.N bhii bahut hai.n
kyaa kiijiye kam_baKht kii shoharat bhii bahut thii





Koi ummeed

Koi ummeed bar nahi aati, koi surat nazar nahi aati
Maut ka ek din muayyan hai, Neend kyun raat bar nahi aati
Aage aati thi haal e dil pe hasi, Ab kisi baat par nahi aati
Hai kuch aisi hi baat jo chup hai, Warna kya baat kar nahi aati




Aaina kyu na doon ke tamasha kahe jise
Aisa kaha se laau ke tujhasa kahe jise

Hasrat ne la rakha teri bazm-e-khayal me
Guldasta-e-nigaah suveda kahe jise





Dard ke phool


Dard ke phool bhi khilte hai bikhar jaate hai,
ZaKhm kaise bhi ho kuch roz mein bhar jaate hai,

Us dariche mein bhi ab koi nahi aur hum bhi,
Sar jhukaye huye chup chaap guzar jaate hai,

Raasta roke khaDi hai yahi ulajhan kab se,
Koi poochhe to kahe kya ki kidhar jaate hai,

Naram awaaz bhali baatein mohazzab lahaje,
Pahli baarish mein hi ye rang utar jaate hai





Dil-e-naadaaN tujhe hua kya hai


dil-e-naadaaN tujhe hua kya hai ,aaKHir is dard ki dawa kya hai
hum haiN mushtaaq aur woh bezaar ,ya ilaahi yeh maajra kya hai
[ mushtaaq = interested, bezaar = displeased/sick of ]

maiN bhi muNh meiN zabaan rakhta hooN, kaash poocho ki muddaa kya hai
jab ki tujh bin nahi koyi maujood, fir ye hangaama aye KHuda kya hai

ye pari chehara log kaise haiN GHamza-o-ishwa-o-'adaa kya hai
[ paree chehara = angel faced, GHamza = amorous glance, ishwa = coquetry ]

shikan-e-zulf-e-ambaree kyoN hai nigah-e-chashm-e-soorma sa kya hai
[ shikan = wrinkel/fold, ambaree = fragrance, chashm = eye ]

sabja-o-gul kahaaN se aaye haiN abr kya cheez hai, hawa kya hai
humko unse wafaa ki hai ummeedjo nahi jaante wafa kya hai

haaN bhala kar tera bhala hogaaur darvesh kee sada kya hai
[ darvesh = beggar, sada = voice ]

jaan tum par nisaar karta hooNmaiN nahi jaanata duaa kya hai
maiNe maana ki kuchch nahi GHalibmuft haath aaye to bura kya hai