Tuesday, May 18, 2021

Eid Shayari

 


Suna Hai Chaand Nikle Ga
Suna Hai EID Bhi Hogi
Humein To Aasman Par Door Tak
Kuch Bhi Nahi Dikhta
Kahan Wo Chaand Nikle Ga
K Jis K Waasty Hum Ne
Kabhi Palkain Nahi Jhapki
Wo Jis Ka Rasta Takte
Hai Guzri Zindagi Apni
Nahi Kuch Bhi Khabar K Wo
NIkle Ga To Kab Akhir
Humari Muntazir Ankhon Ko
Us Ki Deed Kab Hogi
Abhi Pucho Nahi Hum Se
Humari EID Kb Hogi....

Kash koi na likhe sher dukh bharay shahid,
Haal dil ka ho mussarat se bayaan eid ke din..
Chand dekha hai to yaad ayi hai teri suurat,
Haath uthte hain magar harf-e-duaa yaad nahin..
Masroof hai khalaq eid ki tayarion main aur mein,
Mehv-e-fikr hoon ke sab se hansss kar milna hoga..


Kabhi iss tarah se bhi eid kar,
Abhi zid na kar dil-e-bekhabar,
Ke pass-e-hujoom sitam–giraan,
Abhi kon tujh se wafaa kare,
Abhi kiss ko fursaten iss qadar,
Ke samaitt kar teri kirchiyaan,
Tere haq main khud se dua kare,
Abhi zid na kare dil-e-bekhabar,
Ke tah-e-ghubaar e gham-e-jahan,
Kahan kho gaye tere chaaragar,
Ke raah-e-hayaat main raayegaan,
Kahan so gaye tere humsafar,
Abhi ghamgusaron ki chott seh,
Abhi kuch na sun abhi kuch na keh,
Abhi zid na kar mere be-nawaa,
Abhi ho sake to sahii mere,
Sabhi khawb raakh main daffan kar,
Abhi ho sake to yeh soch le,
Ke tuluu-e-ashq se paishtar,
Kahin dard hai to huaa kare,
Koi chott hai to khila kare,
Kabhi yun bhi ho ke sar-e-uffaq,
Tere dukh ka chaand dammak uthe,
Koi tees khud se chamak uthe,
Kisi sheher-e-zakhm farosh main,
Koi zakham khud se khareed kar,
Sabhi akss khud se khurachh kabhi,
Kiisi aayine pe na deed kar,
Kabhi yuun bhi jashn-e-turb mana,
Kabhi iss tarah se bhi eid kar…

Talkhiyaan chubhne lagi jab zeest ke paimaane main,
Dard ke maaron ne ghholl ke piyaa eid ka chaand..




Iss eid pe laut ke aa jana,
Kuch yaaden taaza karni hain,
Kuch lamhe morr ke laane hain,
Woh masti aur woh madhoshi,
Woh bachpan morr ke laana hai,
Iss eid pe laut ke aa jana,
Ab dil ko dil ki dharrkan se,
Phir eid mubarak kehna hai,
Aur saath bohat din rehna hai,
Iss eid pe laut ke aa jana..



Iss eid pr bhi na mil sake to kya hua dosto,
Jazzbon main khuluus ho to eiden hazaar hain..



Uss se milna to ussey eid mubarak kehna,
Yeh bhi kehna meri eid mubaarak kar de..


Gile shikwe mittaa kar muskurao, eid ka din hai,
Purani ranjishon ko bhool jao, eid ka din hai..


Tumhare chaand se chehre ki agar deed ho jaye,
Qasam hai apni ankhon ki, hamari eid ho jaye..


Us ki mehki hui yaadon ki sadaa jaag uthi,
Door ufaq per jo nazar aya eid ka chaand..



Dekha eid ka chaand to maangi yeh dua rab se,
Dede tera saath eid ka tohfaa samajh ke..



Main hoon tera khayal hai chand raat hai,
Dil dard se niddhaal hai aur chand raat hai,

Eid aayi hai magar dil bechaini se bhara hai,
Teri be’dardiyon ka kamaal hai aur chand raat hai,



Des mein nikla hoga kahin eid ka chaand,
Pardes mein ankhen kayi namm hon gi..




Eid pe milne ka vaada tha jis ka,
chaand ka hamrah us ka rasta dekhoon gi,
Koi to aesi bhi eid aa jaye gi,
Ujrre dil ko mein bhi basta dekhoon gi..




Eid ka rang chehre se chupaaon kese,
Tu meri rooh main dhoondne jaon kese,
Mera har din teri chahat mein eid ka din,
Main sirf aik hi din mehndi lagaaon kese..